11 Dec Ko Saeed Noori Ne Mumbai Me Chhota Sonapur Qabrastan Ke Paas Ek Program kiya Jo Deeni Jalsa Nahi Balke Photography Mela Maloom Ho Raha Tha.
Yahi Waja Hai Ke Ahlesunnat ke Ek Namwar Aalime Deen Maulana Abdul Mubeen Nomani Saheb Ne Mic Par Aate Hi Sab Se Pahle Photography Se Apni Naraazgi ka izhaar Kiya Aur Phir Quran e Pak Ki Ye Aayat Padhi:
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا ادۡخُلُوۡا فِی السِّلۡمِ کَآفَّۃً
Aur iska Tarjuma Bayan Karte Huye Kaha Ke:
“Aye iman Walo! Islam me Poore Poore Dakhil Ho Jao”
Aur Kaha Ke:
“Ye Adhura-pan Chhodiye!”
Unki Aawaz Me Suniye:
Maulana Abdul Mubeen Nomani Saheb Ne Jo Aayat Pesh Ki, Wo Mukammal is Tarah Hai, (Tarjuma)
“Aye iman Walo! Islam Me Poore Dakhil Ho, Aur Shaitan Ke Raaste Par Na Chalo, Be-Shak Wo Tumhara Khula Dushman Hai.”
(Tarjuma e Kanzul-iman)
Maulana Abdul Mubeen Nomani Ne Ye Bhi Kaha Ke “Ye Adhura-Pan Chhodiye!”
Lekin Saeed Noori Ne Qur’an Ki Roshni Me Ki Gai Nasihat Ko Nazar-Andaz Kar Ke Ek Deeni Jalse Ko Photography Mela Bana Diya Aur Apne Sath Doosro’n Ko Bhi Gunah’gar Kiya! Ma’azallah..!
Kuchh Jhalak Dekhiye Jis Me Pahle Number Par Photo Banatey Huye Raza Academy Ke Nazim Saheb Hain…
Raza Academy Ke Shaye Karda Fatawa e Razwiya Mutarjam Ki Jild No.24 Me Sarkar Alahazrat Ne Tasweer (Photo) Ke Baare Me Farmaya Ke Jandaar Ki Tasweer Khenchna Haram Hai. Sahi Hadees Me irshad Hua Ke Qayamat Me Sab Se Ziyada Sakht Azab Us Par Hoga Jis Ne Kisi Nabi Ko Shaheed Kiya Ya Jisko Kisi Nabi Ne Qatl Kiya Aur Tasweer Banane Wala.
Isi Tarah Shahzada e Sadrushshariya, Naib Qaziul Quzat Fil Hind Hazrat Allama Mufti Ziaul Mustafa Qadri Maddazillahul Ali Ne Bhi Tasweer Ke Baare MeShandar Nasihat Ki Hai.
(Duration 8 Min) Suniye:
Hamare WhatsApp Group Me Shamil Ho Jaaiye…
Tasweer (Photo) ke Baare Me Huzoor Mufti e Azam Rahmatullah Alaih Ka Farman Aur Amal Kya Tha? Click Kijiye Aur Dekhiye…
Ye bhi padhiye:-
Aap Khud Faisla kijiye ke Raza Academy ke bani Muhammad Saeed Noori ne jis aadmi ko Tahaffuz e Namoos e Risalat Board Ka SARPARAST banaya hai,
Kya woh Suleh kulli hai ya Nahi ???
Tafseel Ke Liye niche button dabaiye…